Meraa Tumhara Sath Toh Sadiyo Ka Sath Hai Lyrics | Ek Paheli

                        
                        Mera tumhara saath toh
Sadiyo ka saath hai
Abb tak gale na mil sake,
Yeh aur baat hai
Mera tumhara saath

Manjil pe aaya karwa,
Phir ho gaye araman jawan
Mahasus hone laga
Qadamon mein hain dono jahan
Jisakee talash thee woh
Mere saath hai
Abb tak gale na mil sake,
Yeh aur baat hai
Mera tumhara saath

Tufan se nikale hain ham
Aaya nahee sahil abhee
Tufan se nikale hain ham
Aaya nahee sahil abhee
Mere tumhare pyar kee
Ik aur bhee manjil abhee
Shayad hamaree maut hee
Hamaree hayat hai
Abb tak gale na mil sake,
Yeh aur baat hai
Meraa tumhara saath.