Humsafar Lyrics | Ek Tera Saath

                        
                        humsafar ye tadap hai pyar ki
har kadam zindagi pukaarti mujhse
ab tanha tere bina raha jaaye na
humsafar ye tadap hai pyar ki

main nadi hoon pyaas ki, abra tu hai pyar ka
main nadi hoon pyaas ki, abra tu hai pyar ka
ban ke tu sailaab aa, ishq ke khumaar ka
yahan wahan dhundh teri nishaan
tu hai jahaan mujhko bhi le jaa wahan
humsafar ye tadap hai pyar ki

aa jara badan tera, odh loon badan pe main
aa jara badan tera, odh loon badan pe main
phir kabhi jaloon nahi, hizra ki agan mein main
roti rahi rukta nahi ab ye ziya
baahon mein mujhko tu bhar le piya

humsafar ye tadap hai pyar ke
har kadam zindagi pukaarti mujhse
ab tanha tere bina raha jaaye na
humsafar ye tadap hai pyar ki