Meri Pariksha Teri Pariksha Lyrics | Gangadham

                        
                        meri pariksha teri pariksha
dono ki laaj nibha dena
meri pariksha teri pariksha
dono ki laaj nibha dena
bhakti me kitni shakti hain
bhakti me kitni shakti hain
duniyaa ko dikhla dena
meri pariksha teri pariksha
dono ki laaj nibha dena

kuchh duniyaa me paapi badh gaye
kuchh tune ankhiyaa feri

suni na jaaye aisi bhi kuchh
log kare batiyaa teri
jinko hain tujh par hi bharosha
jinko hain tujh par hi bharosha
unko na tu dhokha dena
meri pariksha teri pariksha
dono ki laaj nibha dena

aur na kuchh bhi chaha maine
aur na kuchh bhi manga hain
uski jivan dor badha de
jisse jivan bandha hain
mere naina teri aarti
mere naina teri aarti
bujhta deep jala dena
meri pariksha teri pariksha
dono ki laaj nibha dena

teri daya me der hui to
mera sab lut jaayega
mere sang visvas sabhi ka
ishwar se uth jaayega
naam tera kahi meet hi na jaaye
naam tera kahi meet hi na jaaye
bhakto ko na meeta dena

meri pariksha teri pariksha
dono ki laaj nibha dena
bhakti me kitni shakti hain
bhakti me kitni shakti hain
duniyaa ko dikhla dena
meri pariksha teri pariksha
dono ki laaj nibha dena
dono ki laaj nibha dena
dono ki laaj nibha dena
dono ki laaj nibha dena
dono ki laaj nibha dena
dono ki laaj nibha dena.