Tere Naina Kyon Bhar Aaye Lyrics | Geet

                        
                        Tere naina kyon bhar aaye
Tere naina kyon bhar aaye
Tere naina kyon bhar aaye
Woh hai sabka rakhvala
Tu kahe ko ghabraye
Tere naina kyon bhar aaye
Tere naina kyon bhar aaye

Yeh aansu aur yeh dukh
Sare le ja prabhu ke dware
Le ja prabhu ke dware
Woh hi tuti aas bandhaye
Bigade kaj sanvare
Bigade kaj sanvare
Dwar se uske koyi khali
Hath naa vapas jaye
Tere naina kyon bhar aaye
Tere naina kyon bhar aaye

Jeevan ki yeh dhup chhanv
Sab hai khel tamasha
Sab hai khel tamasha
Mann se aankh michauli
Khele aasha aur nirasha
Khele aasha aur nirasha
Aaj hai dukh toh kal sukh
Hoga kahe nir bahaye
Tere naina kyon bhar aaye
Tere naina kyon bhar aaye
Tere naina kyon bhar aaye.