Chhu Liya Lyrics | Hai Apna Dil Toh Awara

                        
                        kate chhute manjhe se ude man, patang kahi dur 
chipe the sirhane jo sapne, nahi majbur 
sukhe jiyra me jaise, barkha ki rutt aayi re aise 
bhiga tann mann mera, badli si hu main jo tune
chhu liya, chhu liya, chhu liya, chhu liya

sune jo keh rahe tere naina ye tana bana is prit ka 
ya kaho jo agar hontho se padh le tere dil ka likha 
ho ab to kyu kam lage, sath tere na ho tu to katta nahi 
maang paau tujhe, isliye hi toh hai bani yeh dua
mil gaya saath tera jab se, khud ko paya hai maine tab se 
hai naya rang mera, badli si hu main jo tune 
chhu liya, chhu liya, chhu liya, chhu liya

mera man manchala chala tere piche
aankhe minche jaanu na kaha
tham lo is tarah teri ho jaau, tujhme hi paau apna jaha
tere khwabo me gumshuda hai
dil mera pehle sa kaha hai
hai naya dhang iska, badla sa hai jo tune
chhu liya, chhu liya, chhu liya, chhu liya