Ye Aansu Mere Dil Ki Zubaan Hain Lyrics | Hamrahi

                        
                        ye aansu mere dil ki zubaan hai
ye aansu mere dil ki zubaan hai
mai royu to ro de aansu
mai hans du to hans de aansu
ye aansu mere dil ki zubaan hai
ye aansu mere dil ki zubaan hai

aankh se tapki jo chingari, har aansu me chabi tumhari
aankh se tapki jo chingari, har aansu me chabi tumhari
chir ke mere dil ko dekho, bahate lahu me prit tumhari
ye jivan jaise sulaga tufaan hai
ye aansu mere dil ki zubaan hai
mai royu to ro de aansu
mai hans du to hans de aansu
ye aansu mere dil ki zubaan hai
ye aansu mere dil ki zubaan hai

jivan-path par jivan sathi, sath chale ho muh na modo
jivan-path par jivan sathi, sath chale ho muh na modo
dard-o-gam ke dorahe par, mujhko tadapta yu na chhod o
ye nagma mere gam ka bayaan hai
ye aansu mere dil ki zubaan hai
mai royu to ro de aansu
mai hans du to hans de aansu
ye aansu mere dil ki zubaan hai
ye aansu mere dil ki zubaan hai.