Heer Tu Meri Lyrics | Happy Hardy And Heer

                        
                        Yeh jo hai tere mere darmiyaan
Ishq ki hain yeh gehri sardiyaan
Dil mera keh saka na alvida
Kuchh alag teri meri yaariyan

Meri aakhon mein tera
Aaina chhupa sa hai
Lamha yeh tera mera
Kuchh ruka-ruka sa hai
Oh sohniyo

Aasmaani yeh chehra
Kis qadar gehra hai
Faaslon ka samandar
Bakhuda keh raha hai
Oh sohniyo
Heer tu meri
Raanjhna main tera

Heer tu meri
Raanjhna main tera

Aaye zindagi mein ho yoon
Ab na jaana tum kabhi
Kehkashan is mohabbat ka
Tera mera hai yehi
Hai tumhari adaon ka mara
Kare kya mera dil mere humnava
Sama yeh kare bekaraari si dil mein
Yeh dil to mera tere bin maane na

Heer tu meri
Raanjhna main tera

Kaafir nahi main mujhe tha yakeen
Tum sa milega koyi hum nasheen
Yaadon ka kafila huya ajnabi
Kare bekhabar ab mujhe har ghadi

Yeh jo hai tere mere darmiyaan
Ishq ki hain yeh gehri sardiyaan
Dil mera keh saka na alvida
Kuchh alag teri meri yaariyan

Meri aakhon mein tera
Aaina chhupa sa hai
Lamha yeh tera mera
Kuchh ruka-ruka sa hai
Oh sohniyo

Heer main teri
Raanjhna tu mera.