Kabhi Toh Sun Lyrics | Hogaya Dimaagh Ka Dahi

                        
                        Kabhi to sun gaur se
Teri aawaz hun
Mana le zara pyaar se
Zara sa naaraz hun
Chhupa le khud mein mujhe
Main tera raaz hun

Saya hun main tera
Kab tujh se dur hun
Jab se mila hai tu
Tab se magroor hun
Hai tert ishq ki
Yeh sab nawazishe
Jitna badanaam hun
Jitna mashoor hun

Likha jo tere ishq ne
Main wo alfaaz hun
Mana le zara pyaar se
Zara sa naaraz hun
Kabhi to sun gaur se
Teri aawaz hun
Mana le zara pyaar se
Zara sa naaraz hun.