Main Zindagi Ka Saath Lyrics | Hum Dono

Lyricist : Sahir Ludhianvi
Music Director : Amarjeet , Jaidev
Singer : Mohammed Rafi
                        
                        mai zindagi kaa sath nibhata chala gaya
har fikr ko dhune me udata chala gaya

barabaadiyo ka sog manaanaa fizul tha
barabaadiyo ka sog manaanaa fizul tha
barabadiyo ka jashn manata chala gaya
mai zindagi kaa sath nibhata chala gaya

jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya
jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya
jo kho gaya mai usko bhulata chala gaya
mai zindagi

gam aur khushi me fark na mahasus ho jahan
gam aur khushi me fark na mahasus ho jahan
mai dil ko us muqaam pe laataa chalaa gayaa
mai zindagi