Bahut Bura Hai Hal Tere Majbur Kaa Lyrics | Humlog

Lyricist : Uddhav Kumar
Music Director : Ranjeet Bedi , Roshan
Singer : Lata Mangeshkar
                        
                        bahut bura hai haal tere majbur ka
kab tutega balam fasala dur ka
bahut bura hai haal tere majbur ka
kab tutega balam fasala dur ka

main tadapu nis din haye
chain nahi aaye
jiya hai bhari
dil me aag lagaye
badariya kari
main tadapu nis din haye
chain nahi aaye
jiya hai bhari
dil me aag lagaye
badariya kari
piya sanware diya hai mujh ko
badla kaun kusur ka
kab tutega balam fasala dur ka
bahut bura hai haal tere majbur ka
kab tutega balam fasala dur ka

uthau kab tak gham ka bhaar
bura sansar na bhaye jeena
bahti hai din rat
aankh ki meena
uthau kab tak gham ka bhaar
bura sansar na bhaye jeena
bahti hai din rat
aankh ki meena
dil ka sauda kar saudagar
mausam nahi gurur ka
kab tutega balam fasala dur ka
bahut bura hai haal tere majbur ka
kab tutega balam fasala dur ka