Jaane Kyo Hai Aajkal Khoyi Khoyi Jindagi Lyrics | Jazbaat

Lyricist : Mahendra Dehlvi
Music Director : Suraj Prakash ,
Singer :
                        
                        Jane kyun hai aajkal khoyi khoyi zindagi
Jane kyun hai aa kal khoyi khoyi zindagi
Lagta hai ye jaha jane kyun ajnabi
Jane kyun hai aajkal khoyi khoyi zindagi

Jana kaha mujhe aur kaha ja raha hu
Jana kaha mujhe aur kaha ja raha hu

Hai khabar jaha ki na khud ko pa raha hu
Layi mujhe hai kaha ye meri bekhudi
Jane kyun hai aajkal khoyi khoyi zindagi

Wo jhil si hai faja mausam dhua dhua hai
Wo jhil si hai faja mausam dhua dhua hai
Hai wahi ye zamin aur wahi aasma hai
Wahi hu mai magar
Mujhe gham hai na koi khushi
Jane kyu hai aajkal khoyi khoyi zindagi

Viran hai sahar khamosh raste hai
Viran hai sahar khamosh raste hai
Apne the kabhi sapne se ho gaye hai
Kya hai meri dastan mujhe bataye koi
Jane kyu hai aajkal khoyi khoyi zindagi
Lagta hai ye jaha jane kyun ajnabi
Jane kyun hai aajkal khoyi khoyi zindagi.