Aane Se Uske Aaye Bahar (2) Lyrics | Jeene Ki Raah

                        
                        aane se uske aaye bahar
jane se uske jaye bahar
badi mastani meri mahbuba
meri zindgani hai meri mahbuba

is ghata ko mai to
uski aankho ka kajal kahunga
is hawa ko mai to
uska lahrata aanchal kahunga
kaliyo ka bachpan hai
phulo ki jawani hai, meri mahbuba
meri zindgani hai meri mahbuba

beet jaate hain din
kat jaati hai aankho me raate
hum na jaane kya kya
karte rahte hain aapas me baate
main thoda diwana
thodi si diwani hai, meri mahbuba
meri zindgani hai meri mahbuba

samne main sabke
naam uska nahi le sakunga
samne main sabke
naam uska nahi le sakunga
wo sharam ke mare ruth jaye
to mai kya karunga
huro ki malika hai
pariyo ki rani hai, meri mahbuba
meri zindgani hai meri mahbuba
badi mastani meri mahbuba.