Bhaabhi Kangan, Jis Desh Men Gangaa Rahataa Hai Lyrics | Jis Desh Mein Ganga Rehta Hain

                        bhaabhi kangan khanakaati hai aur maa loriya gaati hai

maddham maddham si pavan chale koyaliya git sunaati hai
bachcha vaha aaj bhi chaand ko chandamaama kehta hai
jis desh me ganga rehta hai, jis desh me ganga rehta hai

gaanv ka panghat panghat ka paani bhare gagariya koi divaani
thandi thandi puravaayi me mithi mithi khushbu
mat puchho us khushbu me hota hai kaisa jaadu
jaadu aisa hota hai ke har koi jhumata rehta hai
jis desh me ganga rehta hai, jis desh me ganga rehta hai
bhaabhi kangan khanakaati hai aur maa loriya gaati hai
maddham maddham si pavan chale koyaliya git sunaati hai

dil me basa kar gaanv ki mamta shahar me aaya mai jogi ramta

sukh duhkh saare maan kar aur un ko apna kar
tarah tarah ke naato se ghar ban jaata hai sundar
pal pal sachche rishto ka vaha pyaar barasta hai