Sath Ho Tum Lyrics | Kanch Ki Gudiya

                        
                        Sath ho tum aur raat jawa
Sath ho tum aur raat jawa
Nind kise ab chain kaha
Kuch to samajh ai bhole sanam
Kehti hai kya nazaro ki zuban
Sath ho tum aur raat jawa

Mahkati hawa chhalakti ghata
Humse yeh dil sambhalta nahi
Ki minnate manakar thake
Kare kya yeh ab bahalta nahi
Dekh ke tumako mahkane laga
Lo bahakne laga hasrato ka jaha
Sath ho tum aur raat jawa
Nind kise ab chain kaha

Hum is raah pe mile is tara
Ke ab umr bhar na hoge juda
Mere saaz e dil ki awaaz tum
Main kuch bhi nahi tumhare bina
Aao chale hum jaha pyar se
Wo gale mil rahe hai zamee aasma
Sath ho tum aur raat jawa
Nind kise ab chain kaha
Kuch to samajh ai bhole sanam
Kehti hai kya nazaro ki zuban
Sath ho tum aur raat jawa.