Jaa Main Tose Rooth Gayee Lyrics | Mil Gayee Manzil Mujhe

                        
                        ja main tose ruth gayi
are ja main tose ruth gayi

aaj mohabbat tut gayi
aaj mohabbat tut gayi
ja main ja main ja main ha ha
ja main tose ruth gayi
are ja main tose ruth gayi

main thahri nadan bawariya
main thahri nadan bawariya
mat ban tu anjan sanwariya
ye teri beiman najariya
mera sab kuch lut gayi
ja main ja main ja main ha ha
ja main tose ruth gayi
o ja main tose ruth gayi

chain ganwaya nind ganwayi
chain ganwaya nind ganwayi
kaahe tose preet lagayi
nikla kaisa tu harjai
meri kismat fut gayi
ja main ja main ja main haye re
ja main tose ruth gayi, ja ja
ja main tose ruth gayi

mar gayi main to laaj sharam ke

mar gayi main to laaj sharam ke
parda uth gaya aaj bharam ke
accha hua din raat ke gham se
meri jaan chhut gayi
ja main ja main ja main haye re
ja main tose ruth gayi
are ja main tose ruth gayi
aaj mohabbat tut gayi
aaj mohabbat tut gayi
ja main ja main ja main ha ha
ja main tose ruth gayi
are ja main tose ruth gayi.