Mujhko Jeene Ki To Dua Sabhi Dete Lyrics | Naach Uthe Sansaar

                        
                        mujhko jine ki to dua sabhi dete
mujhko jine ki to dua sabhi dete
dil ki dawa nahi aata koi leke
logwa kahe mujhe jahar nahi dete
jakhmi jiya fire kaha kaha leke
mujhko jine ki to dua sabhi dete

ab ye madal ye dhun ye tarana
ab ye madal ye dhun ye tarana
mujhko lage na kuch bhi suhana
mujhko lage na kuch bhi suhana
man begana to jag hai begana
o re sajaniya bataye ye diwana
jakhmi jiya fire jakhmi jiya haye
jakhmi jiya fire kaha kaha leke
logwa kahe mujhe jahar nahi dete

sajni bin hai najar meri pyasi
sajni bin hai najar meri pyasi
us bin jaye na jiya ki udasi
us bin jaye na jiya ki udasi
ab ye jiwan gale ki hai fasi
tute fanda na nikle re jiyra
mar mar jina mera mar mar jina haye haye
mar mar jina mera haye koi dekhe
logwa kahe mujhe jahar nahi dete
dil ki dawa nahi aata koi leke
mujhko jine ki to dua sabhi dete
jakhmi jiya fire kaha kaha leke