Dekh Tere Sansaar Ki Haalat Kyaa Ho Gai Bhagavaan Lyrics | Nastik

                        
                        dekh tere sansar ki halat kya ho gayi bhagwan
kitna badal gaya inasan
kitna badal gaya inasan
suraj na badla chand na
badla na badla re asaman
kitna badal gaya inasan
kitna badal gaya inasan
aya samay bada bedhanga
aaj adami bana lafanga
kahi pe jhagda kahi pe danga
nach raha nar ho kar nanga
chhal or kapat ke hatho apna bech raha iman
kitna badal gaya inasan
kitna badal gaya inasan
dekh tere sansar ki halat kya ho gayi bhagwan
kitna badal gaya inasan
kitna badal gaya inasan
ram ke bhakt rahim ke bade
rachte aj fareb ke phade
ram ke bhakt rahim ke bade
rachte aj fareb ke phade
kitne ye makkar ye adhe
dekh liye inke bhi dhandhe
inhi ki kali kartuto se hua ye mulk mashan
kitna badal gaya inasan
dekh tere sansar ki halat kya ho gayi bhagwan
kitna badal gaya inasan
kitna badal gaya inasan
jo hum apas me na jhagdte
bane huye kyu khel bigdte
kahe lakho ghar ye ujadte

kyu ye bachche ma se bichhdate
fut fut kar kyu rote pyare bapu ke pran
kitna badal gaya inasan
kitna badal gaya inasan
dekh tere sansar ki halat kya ho gayi bhagwan
kitna badal gaya inasan
kitna badal gaya inasan