Hum Teenon Ki Woh Yaari Lyrics | Neeyat

                        
                        Hum tino ki wo yari
Do lakho pe hai bhari
Jan le ye duniya sari
Hey hota hai kya yarana
Ye jane wo deewana
Jisne sikha yaar ki khatir
Hanste hanste mar jana
Hota hai kya yarana ye
Jane wo deewana
Jisne sikha yaar ki khatir
Hanste hanste mar jana

Kabhi na kabhi to gardish me
Sabke sitare aate hai
Yaar wo sache hote hai
Jo aise me sath nibhate hai
Arey hum bhi sath nibhayenge
Yari me lut jayenge

Yaro pe mit jayenge
Hey hota hai kya yarana
Ye jane wo deewana
Jisne sikha yaar ki khatir
Hanste hanste mar jana

Aur sabhi hai khoon ke rishte
Yari dilo ka rishta hota hai
Jo ye rishta samjh gaya bas
Wo insan pharishta hai
Dil walo ka nara hai
Matwalo ka ishara hai
Yaar jaan se pyara hai
Hey hota hai kya yarana
Ye jane wo deewana
Jisne sikha yaar ki khatir
Hanste hanste mar jana

Jiski niyat achhi ho
Usi ko sache yaar mile
Warna to is duniya ke
Gulshan me khar hi khar mile
Bandhu apna to ye kahna hai
Hardam milke rahna hai
Har gam milke sahna hai

Hey hota hai kya yarana
Ye jane wo deewana
Jisne sikha yaar ki khatir
Hanste hanste mar jana
Hum tino ki wo yari
Do lakho pe hai bhari
Jan le duniya ye sari
Hey hota hai kya yarana
Ye jane wo deewana
Jisne sikha yaar ki khatir
Hanste hanste mar jana.