Pyase Dil Ki Pyas Bujhane Lyrics | Neeyat

                        
                        Pyase dil ki pyas bujhane aaja
Pyase dil ki pyas bujhane
Soyi huyi takdir jagane aaja aaja
Tere liye mai hu mere liye tu hai

Ye wada nibha ja aaja aaja aaja aaja

Sadiyo se rahi nind na aayi
Na koi khawab hi aaya
Pal pal thadpa tha mai
Teri yado ka barkha sa
Sun mere sajan janmo ki uljhan
Aake zara suljha ja nibha ja
Ye wada nibha ja aaja aaja aaja
Pyase dil ki pyas bujhane
Soyi huyi takdir jagane aaja aaja

Maine teri puja ki hai
Tujhko hi pana hai
Tere bin mere jivan sathi
Ye jag virana hai
Dil ki nagari kab se hai ujadi
Aake ise tu basa ja ye wada nibha ja
Aaja aaja aaja aaja
Pyase dil ki pyas bujhane
Soyi huyi takdir jagane aaja aaja
Tere liye mai hu mere liye tu hai
Ye wada nibha ja aaja.