Jab Dushman Ho Gaya Waqt, Waqt Se Ladna Hi Hoga Lyrics | Paapi Pet Ka Sawaal Hai

                        
                        jab dushman ho gaya waqt
waqt se ladna hi hoga
har dard dabakar dil me
tamasha karna hi hoga
jab dushman ho gaya waqt
waqt se ladna hi hoga
har dard dabakar dil me
tamasha karna hi hoga
ye zindagi ai zindagi
ye zindagi ai zindagi
jab dushman ho gaya waqt
waqt se ladna hi hoga
har dard dabakar dil me
tamasha karna hi hoga
ye zindagi ai zindagi
ye zindagi ai zindagi

ye apni taqdir hai pagli
gali gali ke phere
naye naye nit khel dikhaye sabko sanjh savere

mai sadko ka raja
tu galiyo ki rani
mai sadko ka raja
tu galiyo ki rani
are mushkil hai har kadam
kadam kadam par badhna hi hoga
are mushkil hai har kadam
kadam kadam par badhna hi hoga
har dard dabakar dil me
tamasha karna hi hoga
ye zindagi ai zindagi
ye zindagi ai zindagi

tujhe nahi malum ke roti
kya kya khel dikhaye
sab kuch lut jata hai
jab ye bukh josh me aaye
koi beche izzat
aur koi imaan
koi beche izzat
aur koi imaan
are ye roti hai karz
karz to bharna hi hoga
are ye roti hai karz
karz to bharna hi hoga

har dard dabakar dil me
tamasha karna hi hoga
ye zindagi ai zindagi
ye zindagi ai zindagi

kisi ki isne ma ko cheena
kisi ka chhina pyar
kisi ke hai dono hath hai chhine
kisi ka chhina yaar
par aadam ka beta
waqt se kab hara hai
par aadam ka beta
waqt se kab hara hai
are ye jivan hai path
path path ko padhna hi hoga
are ye jivan hai path
path path ko padhna hi hoga
har dard dabakar dil me
tamasha karna hi hoga
ye zindagi ai zindagi
ye zindagi ai zindagi
jab dushman ho gaya waqt
waqt se ladna hi hoga
har dard dabakar dil me
tamasha karna hi hoga

ye zindagi ai zindagi
ye zindagi ai zindagi.