Kahiye Kaisa Mizaj Hai Aapka Lyrics | Salaam Mem Saheb

Lyricist : Asad Bhopali
Music Director : Ravi , Ravi
Singer : Asha Bhosle , Mohammed Rafi
                        
                        Kahiye kaisa mijaaz hai aapka
Hamse kya wasta hai janab ka
Are are aap aap to bigadne lage
Nahi nahi aapko samjhne lage
Kahiye kaisa mijaaz hai aapka
Hamse kya wasta hai janab ka
Are are aap aap to bigadne lage
Nahi nahi aapko samjhne lage
Kahiye kaisa mijaaz hai aapka

Jis din se pyar hua dil bekarar hua
Jina duswar hua teri kasam
Jis din se pyar hua dil bekarar hua
Jina duswar hua teri kasam
Yu na sataya karo dil na jalaya karo
Kasme na khaya karo juthe sanam
Tera deewana hu teri kasam
Kya bharosha hai mardo ki jat ka
Kahiye kaisa mijaaz hai aapka
Hamse kya wasta hai janab ka
Are are aap aap to bigadne lage
Nahi nahi aapko samjhne lage
Kahiye kaisa mijaaz hai aapka

Najro ne jan liya dil ne pahchan liya
Lo hamne man liya apna tumhe
Najro ne jan liya dil ne pahchan liya
Lo hamne man liya apna tumhe
Muskil se bat bani
Dil ko bas hai ye khushi
Tumne samjha to sahi apna hame
Dekho ji dekho aise na dekho hame
Sara jhagda tha isi bat ka
Kahiye kaisa mijaaz hai aapka
Hamse kya wasta hai janab ka
Are are aap aap to bigadne lage
Nahi nahi aapko samjhne lage
Kahiye kaisa mijaaz hai aapka

Ye rut ye pyara shama
Dil ki duniya hai jawa
Ye bate roz kaha jane wafa
Ye rut ye pyara shama
Dil ki duniya hai jawa
Ye bate roz kaha jane wafa
Aise me dil bhi mera
Masti me jhum utha
Halka halka sa nasha chane laga
Ab zindagi ka maja aane laga
Hamse kya wasta hai janab ka
Are are aap aap to bigadne lage
Nahi nahi aapko samjhne lage
Kahiye kaisa mijaaz hai aapka
Hamse kya wasta hai janab ka.