Ye Phoolo Ka Gajra Lyrics | Sara Jahan Hamara

                        
                        Ye phoolo ka gajra ye mera singar
Ho koi leke aaya hai sapne hazar
Ye phoolo ka gajra ye mera singar
Ho koi leke aaya hai sapne hazar
Ye phoolo ka gajra

Ye gazre ke phoolo mein kya mil gaya
Zami jhum ke aasma hil gaya
Hawao mein udne lage aaj hum
Ke unki najar mein bhi dehka hai pyar
Ho koi leke
Ho koi leke aaya hai sapne hazar
Ye phoolo ka gajra

Un aankho ne bhi kuch kahi dasta
Muskurane laga aaj sara jaha
Sans lene mein bajti hai shahnayiya
Aa gayi zindagi mein anokhi bahar
Ho koi leke aaya hai sapne hazar
Ye phoolo ka gajra

Meri aankho ne dekha tha sapna koi
Meri aankho ne dekha tha sapna koi
Ban gaya hai mohabbat mein apna koi
Do kadam ab to chalna bhi mushkil ho gaya
Baat wo ho gayi jiska tha intzar
Ho koi leke
Ho koi leke aaya hai sapne hazar
Ye phoolo ka gajra ye mera singar
Ho koi leke aaya hai sapne hazar
Ye phoolo ka gajra.