Takdeer Ka Fasana Lyrics | Sehra

Lyricist : Ramlal
Music Director : V Shantaram , Ramlal
Singer : Lata Mangeshkar
                        
                        takdeer ka fasana
takdeer ka fasana, ja kar kise sunayen
is dil mein jal rahi hain, araman ki chitayen
takdeer ka fasana

sanso me aaj mere
sanso me aaj mere tufan uth rahe hain
shehnaiyon se keh do
shehnaiyon se keh do kahin aur jaake gaayen
is dil mein jal rahi hain, araman ki chitayen
takdeer ka fasana

matwale chand suraj
matwale chand suraj tera uthaye dola
tujhko khushi ki pariyan
tujhko khushi ki pariyan ghar tere leke jayen
is dil mein jal rahi hai, araman ki chitayen
takdeer ka fasana

tum to raho slamat
tum to raho slamat shera tumhe mubarak
mera har ek aansu
mera har ek aansu dene laga duwayen
is dil mein jal rahi hai, araman ki chitayen
takdeer ka fasana, ja kar kise sunayen
is dil mein jal rahi hai, araman ki chitayen
takdeer ka fasana.