O Behna O Mere Jija Ji Ka Kya Kehna Lyrics | Shahenshah

Lyricist : Anand Bakshi
Music Director : Tinnu Anand , Amar Utpal
Singer : Mohammed Aziz
                        
                        O behna o behna
O behna o behna
O mere jijaaji ka kya kehna
Rab ne aisi jodi banaayi
Jaise tota aur maina o behna
O behna o behna
O behna o behna
O mere jijaaji ka kya kehna
Rab ne aisi jodi banaayi
Jaise tota aur maina o behna

Kya surat hain
Kya surat hain hay alla
Jo dekhe kahe subhan alla
Kya surat hain hay alla
Jo dekhe kahe subhan alla
Jaise chand sitaaron mein
Wo ek hazaaron mein valla
Huwa kya jo rang kala hain
Tede hain thode se naina
O behna o behna o behna
O mere jijaaji ka kya kehna
Rab ne aisi jodi banaayi
Jaise tota aur maina o behna

Kaan zara se lambe hain
Kad thoda sa chhota hain
Kaan zara se lambe hain
Kad thoda sa chhota hain
Khaate pite ghar ka hain
Is liye zara sa mota hain
Baaki sab kuchh thik thak hain
Tu dhoke mein mat rehana
O behna o behna o behna
O mere jijaaji ka kya kehna
Rab ne aisi jodi banaayi
Jaise tota aur maina o behna

Maana naya zamana hain
Maana naya zamana hain
Ye sample zara purana hain
Maana naya zamana hain
Ye sample zara purana hain
Lekin shakl se lagata hain ye
Sachmuch tera deewaana hain
Pant kisi ki pehani nayi aur
Coat kisika hai pehana
O behna o behna o behna
O mere jijaaji ka kya kehna
Rab ne aisi jodi banaayi
Jaise tota aur maina o behna.