Maine Shishe Ka Ghar Lyrics | Sheeshay Ka Ghar

Lyricist : Amit Khanna
Music Director : Amit Khanna , Bappi Lahiri
Singer : Salma Agha
                        
                        har taraf pattharo ka saaya hai
maine sheeshe ka ghar banaaya hai
????

tu bhi ro mujhpe ae shabaab mere
tujhko maine ye din dikhaaya hai
maine sheeshe ka ghar banaaya hai
har taraf pattharo ka saaya hai
maine sheeshe ka ghar banaaya hai

dil mera kaanch ka khilauna tha
ek din chaknachoor hona tha
dil jo toota to yaad aaya hai
maine sheeshe ka ghar banaaya hai
har taraf pattharo ka saaya hai
maine sheeshe ka ghar banaaya hai

kiska shikwa karu khuda mere
koi mujrim, koi mujrim nahi siva mere
apna dhokha to maine khaaya hai
maine sheeshe ka ghar banaaya hai

har taraf pattharo ka saaya hai
maine sheeshe ka ghar banaaya hai

main hu ek dard tu dawa ban jaa
maut ae tu hi aasara ban ja
jindagi ne bahut sataaya hai
maine sheeshe ka ghar banaaya hai.