Chaman Ke Phool Bhi Tujhko Lyrics | Shikari

Lyricist :
Music Director : G S Kohli , G S Kohli
Singer : Mohammed Rafi , Lata Mangeshkar
                        
                        chaman ke phul bhi tujhko gulab kahte hai
hami nahi hai
hami nahi hai sabhi lajvaab kahte hai
nazar mila ke mere dil ki baat pahachano
suna hai chehre ko
suna hai chehre ko dil ki kitaab kahte hai
chaman ke phul bhi tujhko

saaz-e-dil chhed diya hai to ye nagma sun lo
bikhri bikhri hui ye pyar ki kirne chun lo
isi kiran ko sanam aaftaab kahte hai
hami nahi, hami nahi
hami nahi hai sabhi lajvaab kahte hai
chaman ke phul bhi tujhko

aaj tak dekhi nahi aisi dahakti aankhe
daal do aa ke in aankho me chhalkati aankhe
sambhal ke pina ise sab sharab kahte hai
hami nahi, hami nahi
hami nahi hai sabhi lajvaab kahte hai

chaman ke phul bhi tujhko gulab kahte hai
hami nahi hai sabhi lajvaab kahte hai
nazar mila ke mere dil ki baat pahachano
suna hai chehre ko dil ki kitaab kahte hai
chaman ke phul bhi tujhko.