Kya Khabar Thi, Vo Din Kahan Gaye Bata Lyrics | Tarana

                        
                        kya khabar thi ke mohabbat me ye din aate hai
jise hum apna banate hai, wo tadapate hai

wo din kahan gaye bata
wo din kahan gaye bata
jab is nazar me pyar tha, pyar tha
wo din kahan gaye bata

maine to kuch kaha nahi
jo yu nigahe pher li
maine to kuch kaha nahi
wo raat yaad hai yahi, kissa hua tha pyar ka
wo din kahan gaye bata
wo din kahan gaye bata

aankho me nind thi magar
soye nahi the raat bhar
aankho me nind thi magar
soye nahi the raat bhar
dil ko laga hua tha dar
haye savera ho gaya
wo din kahan gaye bata

wo din kahan gaye bata
jab is nazar me pyar tha, pyar tha
wo din kahan gaye bata