Vinashak, Zulmon Ka Bhuchal Yahan Jab Aa Jata Hai Lyrics | Vinashak

                        
                        vinashak vinashak vinashak vinashak
zulmo ka bhuchal yaha jab aa jata hai
bato ka jab vikaral rup chha jata hai
jab jab dharti par adharm ka tandav hota hai
ho kar lachar jab yaha majahab rota hai
tab zulm ka karne nash tab paap ka karne vinash vinashak aata hai
paap ka zulm ka tu vinashak hai ha vinashak hai tu isme kya shaq hai
ha vinashak hai tu vinashak hai

vinashak vinashak vinashak vinashak
aadami hi haivan yaha jab ban jata hai
insan hi jab shaitan yaha ban jata hai
aatank se hahakar jab mach jata hai
darti hai zami aakash bhi jab tharrata hai
haivan ka karne nash shaitan ka karne vinash vinashak aata hai
har aatank ka tu vinashak hai ha vinashak hai tu isme kya shaq hai
ha vinashak hai tu vinashak hai

chehre par jab zulm ka chehra chadh jata hai
aatank darindo ka jab jab badh jata hai
kanun ka jab bhaxak ban jata hai
har dusht ka daman paap se jab bhar jata hai
chehre se pardafash zalim ka karne nash vinashak aata hai
pap ka zulm ka tu vinashak hai ha vinashak hai tu isme kya shaq hai

ha vinashak hai tu vinashak hai ha vinashak hai tu vinashak hai
tu vinashak hai