Kisko Kahen Hum Apna Lyrics | Zamana

                        
                        Kisko kahe ham apna logo ka wo khudara
Kisko kahe ham apna logo ka wo khudara
Dusman se bad kar nikla jo yar tha hamara
Jo yar tha hamara
Kisko kahe ham apna logo ka wo khudara
Dusman se bad kar nikla jo yar tha hamara
Jo yar tha hamara

Chahe jo hamko lute aise to ham nahin the
Dusman bhi jante hain ham kam nahin kisi se
Chahe jo hamko lute aise to ham nahin the
Dusman bhi jante hain ham kam nahin kisi se
Par kya kare ke usne apna bana ke mara
Dusman se bad kar nikla jo yar tha hamara
Jo yar tha hamara

Ik aur bhi hain jisne khakar wafa ki kasme
Zalim ne tod dali sab dosti ki rasme
Ik aur bhi hain jisne khakar wafa ki kasme

Zalim ne tod dali sab dosti ki rasme
Nada hain ham jo samjhe apna use dobara
Dusman se bad kar nikla jo yar tha hamara
Jo yar tha hamara

Hamko kasam hain ab jo uski gali mein jaye
Toba hain us taraf jo ham ankh bhi uthaye
Tum dekho ya na dekho ye dikhati yar tumko
Dikhlayenge tamasa ab ham bhi yar tumko
Khul kar karo meri jaa karti ho kya isara
Dusman se bad kar nikla jo yar tha hamara
Jo yar tha hamara
Kisko kahe ham apna logo ka wo khudara
Dusman se bad kar nikla jo yar tha hamara
Jo yar tha hamara.