Aaj ki raat kabhi khatam na hone aaye
Roz hoti hai subah aaj na hone paaye
Woh aayenge khushi ban kar bahaaren
Saath laayenge
Mere ghar mein muhabbat ke nazaare
Muskuraayenge woh aayenge
Maza is intizaari ka
Koyi poochhe mere dil se
Tamanna jhoom kar kehti
Hai hardam dil ki mehfil se
Yeh har dam dil ki mehfil se
Woh aayenge khushi ban kar bahaaren
Saath laayenge
Mere ghar mein muhabbat ke nazaare
Muskuraayenge woh aayenge
Mere armaan itraa kar
Tadap kar baat kehte hain
Wohi mehmaan aate hain
Jo mere dil mein rehte hain
Jo mere dil mein rehte hain
Woh aayenge khushi ban kar bahaaren
Saath laayenge
Mere ghar mein muhabbat ke nazaare
Muskuraayenge woh aayenge
Sunaayenge unhen
Hasrat bhari aankhon se afsaana
Jo hum se ho saka to
Unko denge dil ka nazraana
Unhen hum dil ka nazraana
Woh aayenge khushi ban kar bahaaren
Saath laayenge
Mere ghar mein muhabbat ke nazaare
Muskuraayenge woh aayenge.