O Mere Rabba Dil Kyun Banaaya Lyrics | Dhaai Akshar Prem Ke

Lyricist : Sameer
Music Director : Raj Kanwar , Jatin-Lalit
Singer : Anuradha Paudwal
                        
                        o mere rabba dil kyun banaya
tanhai se kyun tadapana sikhaya
o mere rabba dil kyun banaya
tanhai se kyun tadapana sikhaya
kaisi hai teri khudai koi sune na duhai
ho gayi kya khata lut gaye
ho gayi kya khata lut gaye
o mere rabba dil kyun banaya
tanhai se kyun tadapana sikhaya

kaun hai dil ke pas jo dhadkane sun raha
dur se meri mang mein chandani bun raha
bite huye lamhe yad na kar
aye ishq hame barbad na kar
ashko ke samandar sukh gaye
ab milne ki fariyad na kar
dard ka alam thehra dur talak hai sehra
pyar ke har nishan mit gaye
ho gayi kya khata lut gaye
o mere rabba dil kyun banaya
tanhai se kyun tadapana sikhaya

jism to bejan hai tere bin tere bin
roshni se hai juda mere din mere din

dil wo nagar hai jo basta nahi ujadke
pachatayega ya rab tu ye basti ujaadke
kabhi ranjish kabhi shikve
kabhi mannat kabhi nale
kiya na ishq tu bhala kaise is dard ko jane
chot jigar ne khayi hotho tak aah na aayi
chahto ke diye bujh gaye
ho gayi kya khata lut gaye
o mere rabba dil kyun banaya
tanhai se kyun tadapana sikhaya
kaisi hai teri khudai koyi sune na duhai
ho gayi kya khata lut gaye
ho gayi kya khata lut gaye