Dhua Dhua Kape Rua Rua Lyrics | Ramji Londonwaley

                        
                        raahe dhua dhua, kanpe ruaa ruaa
ye mere sath kya kar rahi jindagi ye
raahe dhua dhua, kanpe ruaa ruaa
ye mere sath kya kar rahi jindagi ye

milo talak hai sunapan sunapan
milo talak hai sunapan sunapan
har sans me hoti hai koi jalan
sunepan se jal na jaye ham
yu jina pad raha
dil roj mar raha
ye to socha na tha
ye to maanga na tha
ye to socha na tha

jo socha tha
vaisa na hoga kabhi
jina hoga dujo ki sharto pe hi
kis dhue me ho gaye hai gum
sab sard sard hai behisab dard hai
ye mere sath kya kar rahi jindagi ye