Jane Jaan Jane Jaan Lyrics | Anari

Lyricist : Sameer
Music Director : D Ramanaidu , Anand-Milind
Singer : Sadhana Sargam
                        
                        Jaane jaan jaane jaan
Rab tere duhai
Yeh kaise judai
Jaane jaan jaane jaan
Aaja na aaja na
Rab teri duhai
Yeh kaise judai

Khoon-e-jigar yeh kehta hai
Tu dil mein rehta hai
Jaane jaan jaane jaan
Aaja na aaja na

Tere liye gum sahu
Sare mein sitam sahu
Sajana sajana
Khud ko mitaungi
Mar ke deekhaungi
Balma balma
Kehta hai mera jiya
Mera tan man piya
Hai tera hai tera

Mane ya na mane koi
Jaane ya na jane koi
Tu mera tu mera
Bandha ko jise tode
Aisa nahi hai yeh bandan

Tere naam leekh dala
Mein to yeh mera jeevan
Bin tere na jee paun
Ghoot ghoot ke mein mar jaun

Jaane jaan jaane jaan
Aaja na aaja na
Rab tere duhai
Yeh kaise judai


Khoon-e-jigar yeh kehta hai
Tu dil mein rehta hai
Jaane jaan jaane jaan
Aaja na aaja na

Saari zindagani leekhun
Lahu se kahani leekhun
Pyaar ki pyaar ki pyaar ki
Kuch bhi zaamana kare
Yaadein na bhoolun
Yaar ki yaar ki

Rasmein jahan ki sab
Kasmein jahan ki
Tod dun tod dun tod dun
Tere liye saathi mere
Has ke mein sara jag
Chhod dun chod dun
Zulmo ki saalokhon mein
Mujhko nahi hai aab rehna
Dard yeh beechadne ka
Mujhko nahi hai aab sahena
Kasti ka kinara hai
Tu mere sahara hai

Jaane jaan jaane jaan
Aaja na aaja na
Rab teri duhai
Yeh kaise judai

Khoon-e-jigar yeh kehta hai
Tu dil mein rehta hai
Jaane jaan jaane jaan
Aaja na aaja na.