Sun Re Saajan Sun Lyrics | Arzoo

                        
                        sun re sajan sun, sun man ki batiya re 
naino ko bhaaye gayili tori suartiya
mera naram karejwa dol gaya
koi pyar ki boli bol gaya
mera naram karejwa dol gaya

chhup chhup ke koi aata hai
aur prem ki bansi bajata hai
chhup chhup ke koi aata hai
aur prem ki bansi bajata hai
mera naram karejwa dol gaya
nas nas me amrit ghol gaya
mera naram karejwa dol gaya

tan man ki sudh budh kho baithi
main aaj kisi ki ho baithi
main aaj kisi ki ho baithi
koi nainan se dil taul agya
mera naram karejwa dol gaya
koi nainan se dil taul agya
mera naram karejwa dol gaya

mohe ankhiyo ne badnam kiya
mohe ankhiyo ne badnam kiya
meri preet ka charcha aam kiya
meri preet ka charcha aam kiya
koi laaj ka ghunghat khol gaya
mera naram karejwa dol gaya