Chanda Se Pyare Ankh Ke Tare Lyrics | Aulad

Lyricist : Prem Dhawan
Music Director : Sardar Malik , Sardar Malik
Singer : Asha Bhosle
                        
                        chanda se pyare aankh ke taare
raaj dulare laadle
chanda se pyare aankh ke taare
raaj dulare laadle

khilne lage hai phul kaise meri nigaho me
jalne lage hai deep kaise jivan kiraaho me
tum aa gaye to aa gayi duniya
meri to baaho me
chanda se pyare aankh ke taare
raaj dulare laadle

mal mal ke chandan
ganga jal se tujhe nahlau main
in bhole bhale nainwa me kajal lagau main
tak tak ke mukhda pyara pyara
balihari jaau main
chanda se pyare aankh ke taare
raaj dulare laadle