Is Desh Ko Swarg Banana Hai Lyrics | Badi Didi

Lyricist : Rajendra Krishan
Music Director : Narendra Suri , Ravi
Singer : Asha Bhosle
                        
                        waqt ke sath chalo waqt ki aawaz suno
waqt jo saj bajata hai wahi rag suno
waqt kahta hai to ghunghat bhi jala kar rakh do
khokhli rasmo ki buniyad hila kar rakh do
devio geet ye panghat ke bhulane honge
ab naye rag machino ke sunane honge
ab jagna or jagana hai ab jagna or jagana hai
is desh ko swarg banana hai
ab jagna or jagana hai ab jagna or jagana hai

ab chulhe choke ke sang sang hum sikhe or sikhayenge
is desh ke gaw gaw me vidya ka rag sunayenge
ab tod ke rato ka jadu suraj se aankh milana hai
suraj se aankh milana hai is desh ko swarg banana hai
ab jagna or jagana hai ab jagna or jagana hai

santan ke lalcha me aakar kyu or badhaye aabadi
insan jyada or dharti kam to bik jayegi aazadi
takdir ki takat se apni bigdi takdir banana hai
bigdi takdir banana hai is desh ko swarg banana hai
ab jagna or jagana hai ab jagna or jagana hai

ab chhod ke jhule sawan ke tapti hui ret pe chalna hai
mehandi ki jagah in hatho ki dusman ke khun se rangna hai
jis maa ne janam diya hamko us maa ki laaj bachana hai
us maa ki laaj bachana hai is desh ko swarg banana hai
ab jagna or jagana hai ab jagna or jagana hai
is desh ko swarg banana hai
ab jagna or jagana hai ab jagna or jagana hai.