Bachapan Ki Mohabbat Ko Dil Se Na Judaa Karanaa Lyrics | Baiju Bawra

                        
                        bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna
bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna
jab yaad meri aaye milne ki dua karna
bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna
jab yaad meri aaye milne ki dua karna

ghar meri ummido kaa suna kiye jaate ho
duniya ai muhabbat ki lute liye jaate ho
jo gam diye jaate ho us gam ki dua karna
bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna
jab yaad meri aaye milne ki dua karna

saavan me papiha kaa sangit sunaaungi
fariyaad tujhe apni gaa-gaa kar sunaaungi
aavaaz meri sun ke dil thaam liya karna
bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna
jab yaad meri aaye milne ki dua karna