Do Din Ka Mela Lyrics | Banwara

Lyricist :
Music Director : G Rakesh , Khemchand Prakash
Singer : Geeta Dutt
                        
                        Do din ka mela hai
Teri mehman jawani hai
Sajan yeh duniya pani hai
Do din ka mela hai
Teri mehman jawani hai
Sajan yeh duniya pani hai

Do din jag mein haskar jeele
Man hi man mein aansu peele
Do din jag mein haskar jeele
Man hi man mein aansu peele
Sukh dukh ka sansar tera
Yeh teri kahani hai
Sajan yeh
Sajan yeh duniya pani hai
Do din ka mela hai
Teri mehman jawani hai
Sajan yeh duniya pani hai

Khula bazar hai jholi bharle
Balam jawani mein kuch karle
Khula bazar hai jholi bharle
Balam jawani mein kuch karle
Dilwale kar dil ka sauda
Ummid purani hai
Sajan yeh duniya pani hai
Do din ka mela hai
Teri mehman jawani hai
Sajan yeh duniya pani hai

Aa sansar ko gale laga le
Saari duniya ek bana le
Aa sansar ko gale laga le
Saari duniya ek bana le
Duniya wale amar preet ki
Yahi nishani hai
Sajan yeh
Sajan yeh duniya pani hai
Do din ka mela hai
Teri mehman jawani hai
Sajan yeh duniya pani hai.