Ye Samaaj Kab Tak Apni Hawas Ka Jashn Manayega Lyrics | Be-Aabroo

                        
                        ho gya mali ke hatho
gulshita beaabru
ye mahakti ye mahakti
kyariya beaabru
maa bahan beaabru
betiya beaabru
ye samaj kab tak
apni hawas ka jashn manayega
ye samaj kab tak
apni hawas ka jashn manayega
aurt kab tak galiyo galiyo
hoti rahegi beaabru
beaabru beaabru beaabru beaabru
ye samaj kab tak
apni hawas ka jashn manayega
mang me sindur bharne wale
angare bhar jate hai
ghar aangan chhudwa kar humko
kotho tak pahunchate hai
mandir masjid aur kalisa
sab me apna saya hai
pir paynbar avtaro ne
janm humi se paya hai
hum sita hai hum mariyam hai
hum hi binte sulekha hai
dekhne walo dekho humko
fir bhi kitne ruswa hai
fir bhi kitne ruswa hai
ye samaj kab tak
apni hawas ka jashn manayega
aurt kab tak galiyo galiyo
hoti rahegi beaabru
beaabru beaabru beaabru beaabru
ye samaj kab tak
apni hawas ka jashn manayega
basti basti gali gali me

aaiyari makkari hai
ek taraf roti ka tukada
ek taraf ek nari hai
sharm kahan hai laaj kahan hai
jismo ke vyapari ko
dhan ka indhan funk raha hai
aurt ki lachari ko
ye samaj kab samjhega
aurt ki mariyada ko
aurt ke ahsano ko
aurt ke balidano ko
aurt ke balidano ko
ye samaj kab tak
apni hawas ka jashn manayega
aurt kab tak galiyo galiyo
hoti rahegi beaabru
beaabru beaabru beaabru beaabru
ye samaj kab tak
apni hawas ka jashn manayega
mahndi lage hatho me ek din
khanjar bhi aa jayega
ye jalim bahsi ye darinde
apni saja pajayege
nari apne khun ke dhabbe
aisa na ho khud saf kare
kanun ko apne hath me lekar
kanun ko apne hath me lekar
khud apna insaf kare
khud apna insaf kare