Indian Film History

Kya Jaane Kis Khata Ki Lyrics

From Bhai Bahen (1950)

Duration
3:37
Kya jaane kis khata ki Saza paa rahi hoon main Marne ki aarzoo mein aen Jiye ja rahi hoon main Zamane walo apni Meharbaani dekhte jana Kisi ki mitti mein milti Jawani dekhte jana Zamane walo apni Meharbaani dekhte jana Kisi ki mitti mein milti Jawani dekhte jana Zamane walo Hansi to hai ghadi bhar ki Hai rona zindagi bhar ka Likhhi hai khoon se Apni kahaani dekhte jana Kisi ki mitti mein milti Jawani dekhte jana Zamane walo apni Meharbaani dekhte jana Kisi ki mitti mein milti Jawani dekhte jana Zamane walo Tumhaare bas mein duniya hai Jo chaaho to badal daalo Jo chaaho to badal daalo Gareebon ki magar ye Bezubaani dekhte jana Kisi ki mitti mein milti Jawani dekhte jana Zamane walo Arey o zindgani ki Bahare dekhne walo Meri ujdi huyi ye Zindgani dekhte jana Kisi ki mitti mein milti Jawani dekhte jana Zamane walo apni Meharbaani dekhte jana Kisi ki mitti mein milti Jawani dekhte jana Zamane walo.

More songs from Bhai Bahen

Kya Jaane Kis Khata Ki Lyrics - Bhai Bahen (1950) | Indian Film History