Qismat Me, Dar Dar Kii Thokaren Hain Lyrics | Chor Bazar

                        
                        dar-dar ki thokare hain koi nahi sahara
dar-dar ki thokare hain koi nahi sahara
ab meri zindagi hai tuta hua sitara
ab meri zindagi hai

guzre huye zamane aansu baha rahe hain
lo aaj hum tumhari duniya saza rahe hain
duniya saza rahe hain tum khush raho jahan mein
dar-dar ki thokare hain  

qismat me dubana hai maujo se kya darenge 
qismat me dubana hai maujo se kya darenge
maalik ke aasare pe kashti ko chhod  denge
kashti ko chhod  denge
mil jaayegaa hame bhi tufan me kinara
dar-dar ki thokare hain koi nahi sahara
ab meri zindagi hai tutaa hua sitara
dar-dar ki thokare hain