Duniya Ne Teree Duniya Wale Lyrics | Deedar

                        
                        duniya ne teri duniya wale
sukh chain hamara chin liya sukh chain hamara chin liya
pehle toh basayi dil me khushi
phir dil kaa sahara chhin liya phir dil kaa sahara chhin liya
duniya ne teri duniya wale

kya kam hame ab jine se marne ki duayen kyon na kare
kyon na kare
tufan me kashti aan phansi
maujo ne kinara chin liya maujo ne kinara chin liya
duniya ne teri duniya wale

aye gam ki ghata ja aur kahi aye gam ki ghata ja aur kahi
ab pas hamare kuchh bhi nahi ab pas hamare kuchh bhi nahi
kuchh bhi nahi
chamkaya tha jisne kismat ko
tune woh sitara chin liya tune woh sitara chin liya
duniya ne teri duniya wale
sukh chain hamara chin liya sukh chain hamara chin liya
duniya ne teri duniya wale