Char Pate Ka Nishan Lyrics | Ghar Ki Laaj

                        
                        char pate ka nishan niche pan ki dukan
mere pyar ka makan saiya yad rakhna
tere daidy ka darban mucho wala hai pathan
nahi milna aasan gori yad rakhna
char pate ka nishan niche pan ki dukan
mere pyar ka makan saiya yad rakhna
tere daidy ka darban mucho wala hai pathan
nahi milna aasan gori yad rakhna

dar kisi bat ka tu dil me na la
majnu ka nam le ke sidha chala aa
dar kisi bat ka tu dil me na la
majnu ka nam le ke sidha chala aa
is tarh aane me hai khatra bada
milne ka or koi rasta bata
aaja tere kuraban le ke hathaili pe jan
yahi pyar ki hai shan saiya yad rakhna
tere daidy ka darban mucho wala hai pathan
nahi milna aasan gori yad rakhna
char pate ka nishan niche pan ki dukan
mere pyar ka makan saiya yad rakhna

batiya banao na ji badh badh ke
dar pe lage hai tale aligadh ke
batiya banao na ji badh badh ke
dar pe lage hai tale aligadh ke
chhat pe utar de dakota dil ka
udan khatole se tu aaja chadh ke
hoga neela aasaman dil waalo ki udaan
phir dekhega jahaan gori yaad rakhana
hoga neela aasaman dil waalo ki udaan
phir dekhega jahaan saiya yaad rakhana
tere daidy ka darban mucho wala hai pathan
nahi milna aasan gori yad rakhna
char pate ka nishan niche pan ki dukan
mere pyar ka makan saiya yad rakhna