Kabhi Khud Pe Kabhi Haalaat Pe Lyrics | Hum Dono

Lyricist : Sahir Ludhianvi
Music Director : Amarjeet , Jaidev
Singer : Mohammed Rafi
                        
                        kabhi khud pe, kabhi halat pe rona aaya
kabhi khud pe
kabhi khud pe, kabhi halat pe rona aaya
baat nikli, to har ik baat pe rona aaya
baat nikli, to har ik baat pe rona

ham to samajhe the ki ham bhul gaye hai unko
ham to samajhe the
ham to samajhe the ki ham bhul gaye hai unko
kya hua aaj, ye kis baat pe rona aaya
kya hua aaj, ye kis baat pe rona aaya
kabhi khud pe, kabhi halat pe rona

kisliye jite hai ham
kisliye jite hai ham kiske liye jite hai
baarha aise savaalaat pe rona aaya
baarha aise savaalaat pe rona aaya
kabhi khud pe

kaun rota hai kisi aur ki khatir ai dost
kaun rota hai kisi aur ki khatir ai dost
sabko apni hi kisi baat pe rona aaya
sabko apni hi kisi baat pe rona aaya
kabhi khud pe
kabhi khud pe, kabhi halat pe rona aaya
baat nikli, to har ik baat pe rona aaya
kabhi khud pe