Ye To Mumkin Hi Nahi Hai Lyrics | Jai Jwala

                        
                        ye to mumkin hi nahi hai ki
bahak jaaun main
sakiyaa itni pila de
ki mahak jaaun main
sakiyaa itni pila de
ki mahak jaaun main
ye to mumkin hi nahi hai ki
bahak jaaun main
sakiyaa itni pila de
ki mahak jaaun main
sakiyaa itni pila de
ki mahak jaaun main

ye amanat hai teri
tu jo kahe dil apna
ye amanat hai teri
tu jo kahe dil apna
aaj kadmo pe tere
jhum ke rakh jaaun main
sakiyaa itni pila de
ki mahak jaaun main

aaj ki raat meri jaa ye
tamanna hai ye meri
aaj ki raat meri jaa ye
tamanna hai ye meri
ban ke masti teri
aankho se chhalak jaaun main
sakiyaa itni pila de
ki mahak jaaun main