Nadiya Na Piye Kabhi Apna Jal Lyrics | Kan Kan Mein Bhagwan

                        nadiya na piye kabhi apna jal variksh na khaye kabhi apne fal

apne tan ka man ka dhan ka dujo ko de jo dan hai
wo sacha insan are is dharti ka bhagwan hai

agar sa jiska ang jale or dunia ko mithi suhas de

deepak sa uska jeewan hai jo dujo ko apna parkash de
dujo ko apna parkash de dharam hai jiska bhagwat geeta
dharam hai jiska bhagwat geeta sewa hi ved puran hai
wo sacha insan are is dharti ka bhagwan hai
nadiya na piye kabhi apna jal variksh na khaye kabhi apne fal

chahe koi gungan kare chahe kare ninda koi

phulo se koi satkar kare ya kate chubho jaye koi
ya kate chubho jaye koi man or apman hi dono
man or apman hi dono jiske liye saman hai
wo sacha insan are is dharti ka bhagwan hai
nadiya na piye kabhi apna jal variksh na khaye kabhi apne fal
apne tan ka man ka dhan ka dujo ko de jo dan hai
wo sacha insan are is dharti ka bhagwan hai
nadiya na piye kabhi apna jal variksh na khaye kabhi apne fal.