Jadu Nagari Se Nahi Jana Ho Rasiya Lyrics | Maya Machhendra

                        
                        jadu nagari se nahi jana
ho rasiya karke bahana jana na
jana na
jadu nagari se nahi jana
ho rasiya karke bahana jana na
jana na
jadu nagari se nahi jana

nili nili aankhiyo me kajara laga ke
aai pyari sapno wali raat
ho sajana aai pyari sapno wali raat
bhole bhale sajana samajh le samjh le
meri man ki bholi bhali baat
ho sajana meri man ki bholi bhali baat
zalim hain tera sharmana
ho rasiya karke bahana jana na, jana na
jadu nagari se nahi jana

phulo wali bagiya me rimjhim barse
thandi thandi halki fuhaar
ho rasiya thandi thandi halki fuhaar
gori gori kaliyo ka gajara pahan ke
tere liye aai hain bahar
ho rasiya tere liye aai hain bahar
sun le tu dil ka afsana
ho rasiya karke bahana jana na, jana na
jadu nagari se nahi jana

taaro jadi chunari me jhilmil jhilmil
jhalke poonam ka chand
ho sajna jhalke poonam ka chand
ud nahi jaye kahi rup ka panchhi
tujhko najriya pe baandh
ho sajna tujhko najriya pe baandh
varna padega pachhtana
ho rasiya karke bahana jana na, jana na
jadu nagari se nahi jana