Ho Behti Hui Dhara Me Bhi Lyrics | Mera Rakshak

                        
                        ho bahti hui dhara ho bahti hui dhara mai bhi
teri tarah bekal chanchal teri tarah bekal chanchal
dhundhu koi kinara mai bhi
dhundhu koi kinara ho bahti hui dhara

tu ek pal jo mere pas thahre mai aap biti sunau
mai mera hasta hua gaw chhod ke pardesh me din bitau
tera mera dono ka ram sahara
tera mera dono ka ram sahara ke mai bhi teri tarah
bekal chanchal dhundhu koi kinara
ho bahti hui dhara

phul hasi khusbu hawa me bikhre hasne ko karte ishare
kahe jhuk jhuk ke ye ped podhe aa pas aaja hamare
apni taraf khiche hai har najara
apni taraf khiche hai har najara
ke mujhe karna laga pagal pagal
karna laga pagal pagal mausam ye matwara
ho bahti hui dhara

tu jaise sagar ki baho me jake rashte ke dukh bhul jaye
ho mai bhi kho jaungi usko pake apna mujhe jo banaye
jane kab jagega bhag hamara
jane kab jagega bhag hamara ke mai bhi teri tarah
bekal chanchal dhundhu koi kinara
ho bahti hui dhara ho bahti hui dhara mai bhi
teri tarah bekal chanchal teri tarah bekal chanchal
dhundhu koi kinara mai bhi
dhundhu koi kinara ho bahti hui dhara