Hasin Ho Hasin Ho Khuda To Nahi Ho Lyrics | Mud Mud Ke Na Dekh

Lyricist : Prem Dhawan
Music Director : Hansraj Behl , Hansraj Behl
Singer : Mukesh
                        
                        hasin ho hasin ho khudaa to nahi ho
ruko ruko hava to nahi ho
hasin ho khuda to nahi ho
ruko ruko hava to nahi ho

ye chaal bemisaal hai ada bhi ye kamal hai
magar suna hai apne kamal to jamal hai
ye chaal bemisal hai ada bhi ye kamal hai
magar suna hai apne kamal to jamal hai
isalie kahta hun akad ke na chalo
hasin ho khuda to nahi ho
ruko ruko hava to nahi ho

na yuh guman kijie na itna man kijiye
hai hum bhi sath aapke idhar bhi dhyan dijiye
na yuh guman kijie na itna man kijiye
hai hum bhi sath aapke idhar bhi dhyan dijiye
bahut hasin milege hamko naz na karo
hasin ho khuda to nahi ho
ruko ruko hava to nahi ho

jii vasta hai apka ye rasta hai aapka
agar mai sath ho liyaa
to kyaa gaya janaab kaa
jii vasta hai apka ye rasta hai aapka
agar mai sath ho liyaa
to kya gaya janab kaa
mai aadami hun kaam kaa ji sath le chalo
hasin ho khuda to nahi ho
ruko ruko hava to nahi ho
hasin ho khuda to nahi ho
ruko ruko hava to nahi ho