Ajnabi Ban Ke Aaj Kaha Jata Hai Lyrics | Mujhe Seene Se Laga Lo

                        
                        ajnabi ban ke aaj kaha jata hai
aaj kaha jata hai
leke hajaro gam ke nisha jata hai
aaj kaha jata hai

mang me dal ke sindur
ki lali ab tak
teri yado me tadapta hai
koi shamo sahar
jisko baho me jhulane ki tamana
thi tujhe
aaj hai gair ke bas me
wo tera lakhte jigar
aaj hai gair ke bas me
wo tera lakhte jigar
gair ke sath wo tera nisha jata hai
aaj kaha jata hai
ajnabi ban ke aaj kaha jata hai
aaj kaha jata hai

yu bhatakta hi rahega
tu kaha tak itna nada
sath denge ye kaha tak
tere majbur kadam
maut saye ki tarha pichha
karegi tera
zindagi tujhse pareshan
rahegi hardam
zindagi tujhse pareshan
rahegi hardam
maut ko sath liye tu kaha jata hai
aaj kaha jata hai
ajnabi ban ke aaj kaha jata hai
aaj kaha jata hai

tune jis aag ko sine se laga rakha
tu usi aag ko sine se alhada kar le
ye teri ruh tera jism jala dalenge
in bahakte hue sholo se kinara kar le
tu kinara kar le tu kinara kar le
tu kinara kar le
tu kinara kar le.